Hasne Ke Fayde (Benefits of Laughing) – Jeena Hai to Hasna Hai

steveindialead

 

Hasna hamare jindgi ka sabse aham hissa hai, Lekin hum me se 95% log is hisse ko bhul rahe hai ya nazarandaz kar rahe hai. Hasna Muskurana na keval hamare hasmukh sawabhav ko darshata hai balki ye har jagah hamari positiveness ko bhi bayan karta hai. Doctors bhi hanse ko health ke liye ramban dawa batate hai. Aaj ki Bhag-Daud bhari jindagi aur upar se kaam ke pressure me shayad hum me se bahut se logo ko to ye bhi yaad nhi hoga ki hum last time kab khul kar hanse the. Hume itni bhi fursat nhi mil pati hai ki hum apne dosto, parivar ke bade bujurgo aur baccho ke sath baith kar baate kare, khul kar has sake……

इन सभी वजहों से हमारा स्वास्थ्य प्रभावित हो रहा है और हम जाने अनजाने बहुत से रोगों को हमारे शरीर में आमन्त्रित कर लेते है | इसके चलते लोगों को Laughter Therapy का सहारा लेने लगे है, किन्तु यदि हम अपने दोस्तों और परिवार के बीच अच्छा टाइम बिताये तो इसकी आवश्यकता ही ना पड़े|

To dosto hamare thoda sa hanse se bhi hamari jindagi swasth aur khushnuma rah sakti hai bas aaj ki meri is post me main apse yahi jankari share kar raha hu ki hasne ke kya kya fayde ho sakte hain.

  1. Tension aur Depression ko kam karta hai –

    Aaj ki hamari life style bahut fasst ho gayi hai jisse hum par office me kaam ka pressure bhi adhik rahta hai aur isi karan se 85% logo ko Tension aur Depression ki problem ho jati hai. Research batate hai ki Hansane se hamare sharir mai endorphins namak chemical banta hai jo tension aur depression ko dur karta hai. Isse dimag bhi active aur balanced bana rahta hai.

  2. Heart ki Problems ko kam karta hai –

    Hasne se Heart ki acche se exercise hoti hai aur Endorphins chemical heart ho majboot banata hai. Isse body me blood circulation acche se hota hai aur Heart-Attack ki sambhavna kam ho jati hai. Iske artirikt Hemoglobin adhik matra me banta hai jisse khun ki kami dur hoti hai. Isliye jo log hamesha muskurate rehte hai unme dil se sambandhit pareshaniya hone ka khatra bahut kam hota hai.

  3. Rog Pratirodhak Kshamta (Immunity Power) Ko Badhaye –

    Hasne Muskurane se hamare sharir ki rog pratirodhak kshamta badhti hai. Hasne se body ko Oxygen adhik matra me milti hai jisse white blood cells bhi adhik matra me banti hai aur Research ke mutabik adhik white blood cells khun me mojud hanikarak bacteria aur virus se ladkar unhe nast kar deti hai, yaha tak ki cancer jaisi cells bhi nast ho jati hai.

  4. Chehre Ki Khubsurti Badhati hai – 

    Hasnse se humare chehre ki maans-peshiyon ki acchi tarah se exercise ho jati hai. Isse chehre ki sundarta badhti hai aur jhurriya bhi nhi padti hai. Jis wajah se chehre par pure din alag ki chamak aur tazagi bani rahti hai. Is prakaar se chemical yukt hanikarak Cream, Powder aur Face Pack ke  bina lagaye hi humara chehra bahut khubsurat aur akarshak ho jata hai.

  5. Sakaratmak Soch (Positive Attitude) bana rahta hai –

    Haste muskurate rahne se Sakaratmak Urja badhti hai jis se humara Positive attitude aur Confidence jhalakta hai, aur humare charo taraf ka mahol khushnuma bana rahta hai. Hasne se Dimag tanaavmukt(Tension Free) rahta hai jisse hum apne kaam par jyada acche se dhyan de pate hai. Hasi aur muskurahat hume Relex rakhti hai aur jivan me kabhi nirash nhi hone deti hai.

  6. Painkiller ka Karya –

    Hasi ak prakaar se Natural Painkiller kabhi karya karti hai. Khulkar Hunse se hume acchi neend aati hai aur Peeth Dard, Kamar Dard, Gusse, Chidchidepan me rahat deti hai.

So Keep Smiling Dear Firends 🙂 😛 😀

Chandan Saini

दोस्तों मेरा नाम Chandan Saini है और मैं एक IT Professional और Blogger हूँ। इस website को बनाने का मेरा एकमात्र लक्ष्य यही था कि मैं उन लोगों या students की मदद कर सकू, जो internet पर बहुत कुछ सीखना और पढ़ना चाहते है या जो blog और website मे interest तो रखते है परन्तु English अच्छी ना होने के कारण ज्यादा कुछ नही कर पाते है। आपको इस website पर Technology, Social Media, SEO, Blogging, Domain and Hosting, Success Stories, Self Improvement, Online Business, Biography, Gadgets, Tech Tips, Internet, Computer, Laptops, Mobile आदि सभी प्रकार की जानकारी हिन्दी में मिलेगी।
0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
1 Comment
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
Mukesh Sahu
Mukesh Sahu
7 years ago

Thank you so Much Sir for sharing this great post… I’m thankful to u
Laughing is best therapy of our health and first medicine for any disease…. so keep laughing and smiling.

Mukesh